 |
 |
Bhajans Kirtan |
 |
 |
Hindu Radio |
 |
|
| Home > Bhajans Scripts in Hindi, Engllish
|
 |
|
|
|
naiyaa pa.Dii ma.njhadhaar
|
naiyaa pa.Dii ma.njhadhaar guru bin kaise laage paar ..
saahib tum mat bhuuliyo laakh lo bhuulag jaaye .
ham se tumare aur hai.n tum saa hamaraa naahi.n .
a.ntarayaamii ek tum aatam ke aadhaar .
jo tum chho.Do haath prabhujii kaun utaare paar ..
guru bin kaise laage paar ..
mai.n aparaadhii janm ko man me.n bharaa vikaar .
tum daataa dukh bha.njan merii karo samhaar .
avagun daas kabiir ke bahut gariib nivaaz .
jo mai.n puut kapuut huu.n kahau.n pitaa kii laaj ..
guru bin kaise laage paar ..
back to List
|
|
 |
HinduShops Gift Center
|
 |
|
 |