jaago ba.nsiivaare lalanaa jaago more pyaare .. rajanii biitii bhor bhayo hai ghar ghar khule kivaa.De . gopii dahii mathat suniyat hai ka.nganaa kii jhanakaare .. uTho laalajii bhor bhayo hai sur nar Thaa.De dvaare . gvaalabaal sab karat kolaahal jay jay shabd uchaare .. maakhan roTii haath me.n liije gauan ke rakhavaare . miiraa ke prabhu giridhar naagar sharaN aayaa ko taare ..