\zzz{shrii raamachandra kRipaalu} shrIrAmachandr kR^ipAlu bhaju man haraN bhavabhay dAruNam.h . navakaJNj lochan kaJNj mukhakar kaJNjapad kaJNjaaruNam.h .. 1.. ka.ndarp agaNit amit chhabi nav nIl nIraj sundaram.h . paTapIt mAnahu.N ta.Dit ruchi suchi naumi janak sutAvaram.h .. 2.. bhaju dIn bandhu dinesh dAnav daityava.nshanikandanam.h . raghunand Ana.ndaka.nd koshal chand dasharath nandanam.h .. 3.. sir mukuT kuNDal tilak chAru udAr aN^g vibhUshhaNam.h . AjAnubhuj sar chApadhar sa.ngrAm jit kharadUshhaNam.h .. 4.. iti vadati tulasiidaas shaN^kar sheshh muni manaraJNjanam.h . mam hR^idayakaJNj nivAs kuru kAmAdikhaladalamaJNjanam.h .. 5.. \zzz{Thumak chalat raamacha.ndra} Thumak chalat raamacha.ndr baajat pai.njaniyaa.N .. kilaki kilaki uThat dhaay girat bhuumi laTapaTaay . dhaay maat god let dasharath kii raniyaa.N .. a.nchal raj a.ng jhaari vividh bhaa.Nti so dulaari . tan man dhan vaari vaari kahat mR^idu bachaniyaa.N .. vidrum se aruN adhar bolat mukh madhur madhur . subhag naasikaa me.n chaaru laTakat laTakaniyaa.N .. tulasiidaas ati aana.nd dekh ke mukhaaravi.nd . raghuvar chhabi ke samaan raghuvar chhabi baniyaa.N .. \zzz{bhaj man raam charaN} bhaj man raam charaN sukhadaaI .. jin charanan se nikalii.n surasari sha.nkar jaTaa samaayii . jaTaa sha.nkarii naam pa.Dyo hai tribhuvan taaran aayii .. jehi charanana kii charanapaadukaa bharata rahyo lava laaI . soi charana kevaTa dhoi liine taba hari naava chaDhaaI .. naaI se naa naaI leta dhobii se na dhobii leta . deke majuuriyaa ye jaati ko naa bigaa.Diye . jaba aaU.Ngaa mai.n tore ghaaTa to paara mohe utaario .. soi charan sa.ntan jan sevat sadaa rahat sukhadaaI . soi charan gautamaR^ishhi naarii parasi parama pada paaI .. da.nDakavana prabhu paavan kiinho R^ishhyan traas miTaaI . soi prabhu triloka ke svaamii kanaka mR^igaa sa.Ng dhaaI .. kapi sugriiva ba.ndhu bhaya vyaakula tin jaya chhatra phiraaI . ripu ko anuja bibhiishhan nisichara parasat la.nkaa paaI .. shiv sanakaadik aru brahmaadik sheshh sahas mukh gaaI . tulasiidaas maarutasut kii prabhu nij mukh karat ba.DhaaI .. \zzz{jaanakii naath sahaay kare.n} jaanakii naath sahaay kare.n jab kaun bigaa.D kare nar tero .. suraj ma.ngal som bhR^igu sut budh aur guru varadaayak tero . raahu ketu kii naahi.n gamyataa sa.ng shaniichar hot huchero .. dushhT duHshaasan vimal draupadii chiir utaar kuma.ntar prero . taakii sahaay karii karuNaanidhi ba.Dh gaye chiir ke bhaar ghanero .. jaakii sahaay karii karuNaanidhi taake jagat me.n bhaag ba.Dhe ro . raghuva.nshii sa.ntan sukhadaayii tulasiidaas charanan ko chero .. \zzz{raghukul pragaTe hai.n} raghukul pragaTe hai.n raghubiir .. des des se Tiiko aayo ratan kanak mani hiir . ghar ghar ma.ngal hot badhaaii bhai puravaasin bhiir . aana.nd magan hoi sab Dolat kachhu naa saudh shariir . maagadh ba.ndii sabai luTaavai.n gau gaya.nd haya chiir . det asiis suur chir jiivau raamachandra raNadhiir . \zzz{badhaiyaa baaje} badhaiyaa baaje aa.Ngane me.n badhaiyaa baaje .. raam lakhan shatrughan bharat jii jhuule.n ka.nchan paalane me.n . badhaiyaa baaje aa.ngane me.n badhaiyaa baaje .. raajaa dasarath ratan luTaavai laaje naa kou maa.Ngane me.n . badhaiyaa baaje aa.ngane me.n badhaiyaa baaje .. prem mudit man tiino.n raanii sagun manaavai.n man hii man me.n . badhaiyaa baaje aa.ngane me.n badhaiyaa baaje .. raam janam ko kautuk dekhat biitii rajanii jaagane me.n badhaiyaa baaje aa.ngane me.n badhaiyaa baaje .. \zzz{paayo jii mai.nne} paayo jii mai.nne raam ratan dhan paayo .. vastu amolik dii mere sataguru kirapaa kari apanaayo . janam janam kii puu.Njii paaI jag me.n sabhii khovaayo . kharachai n khuuTai chor n luuTai din din ba.Dhat savaayo . sat kii naav khevaTiyaa sataguru bhavasaagar taravaayo . miiraa ke prabhu giridhar naagar harashh harashh jas gaayo . \zzz{paayo nidhi raam naam} paayo nidhi raam naam . paayo nidhi raam naam . sakal shaa.nti sukh nidhaan . sakal shaa.nti sukh nidhaan . paayo nidhi raam naam .. sumiran se piir harai . kaam krodh moh jarai . aana.nd ras ajar jharai . hove man puurNa kaam . paayo nidhi raam naam .. rom rom basat raam . jan jan me.n lakhat raam . sarva vyaapta brahma raam . sarva shaktimaan raam . paayo nidhi raam naam .. GYaan dhyaan bhajan raam . paap taap haraNa naam . suvichaarita tathya ek aadi madhya a.nta raam . paayo nidhi raam naam .. paayaa paayaa paayaa maine raam ratan dhan paayaa .. raam ratan dhan paayaa maine raam ratan dhan paayaa .. \zzz{man laagya mero yaar} man laagyo mero yaar fakiirii me.n .. jo sukh paauu.N raam bhajan me.n so sukh naahi.n amiirii me.n man laagyo mero yaar fakiirii me.n .. bhalaa buraa sab kaa suna liijai kar gujaraan gariibii me.n man laagyo mero yaar fakiirii me.n .. aakhir yah tan chhaar milegaa kahaa.N phirat maGaruurii me.n man laagyo mero yaar fakiirii me.n .. prem nagar me.n rahanii hamaarii saahib mile sabuurii me.n man laagyo mero yaar fakiirii me.n .. kahat kabiir suno bhaI saadho saahib mile sabuurii me.n man laagyo mero yaar fakiirii me.n .. \zzz{pa.Dho pothii me.n} pa.Dho pothii me.n raam likho takhtii pe raam . dekho khambe me.n raam hare raam raam raam .. dekho aa.Nkho.n se raam suno kaano.n se raam . bolo jivhaa se raam hare raam raam raam .. piyo paanii me.n raam jiimo khaane me.n raam . chalo ghuumane me.n raam hare raam raam raam .. baalyaavasthaa me.n raam yuvaavasthaa me.n raam . vR^iddhaavasthaa me.n raam hare raam raam raam .. japo jaagR^it me.n raam dekho svapan me.n raam . pAo sushhupti me.n raam hare raam raam raam .. \zzz{siitaa raam siitaa raama} siitaa raam siitaa raam siitaaraam kahiye . jaahi vidhi raakhe raam taahi vidhi rahiye .. mukh me.n ho raam naam raam sevaa haath me.n . tuu akelaa naahi.n pyaare raam tere saath me.n . vidhi kaa vidhaan jaan haani laabh sahiye . kiyaa abhimaan to phir maan nahii.n paayegaa . hogaa pyaare vahii jo shrii raamajii ko bhaayegaa . phal aashaa tyaag shubh karm karate rahiye . zindagii kii Dor sau.np haath diinaanaath ke . mahalo.n me raakhe chaahe jho.npa.Dii me vaas de . dhanyavaad nirvivaad raam raam kahiye . aashaa ek raamajii se duujii aashaa chho.D de . naataa ek raamajii se duuje naate to.D de . saadhu sa.ng raam ra.ng a.ng a.ng ra.ngiye . kaam ras tyaag pyaare raam ras pagiye . siitaa raam siitaa raam siitaaraam kahiye . jaahi vidhi raakhe raam taahi vidhi rahiye .. \zzz{haariye na himmat} haariye na himmat bisaariye na raam . tuu kyo.n soche ba.nde sab kii soche raam .. diipak le ke haath me.n sataguru raah dikhaaye . par man muurakh baavaraa aap a.Ndhere jaae .. paap puNya aur bhale bure kii vo hii karataa tol . ye saude nahii.n jagat haaT ke tuu kyaa jaane mol .. jaisaa jis kaa kaam paataa vaise daam . tuu kyo.n soche ba.nde sab kii soche raam .. \zzz{prem mudit man se kaho} prem mudit man se kaho raam raam raam . raam raam raam shrii raam raam raam .. paap kaTe.n duHkh miTe.n let raam naam . bhav samudr sukhad naav ek raam naam .. param shaa.nti sukh nidhaan nity raam naam . niraadhaar ko aadhaar ek raam naam .. sa.nt hR^iday sadaa basat ek raam naam . param gopy param ishhT ma.ntr raam naam .. mahaadev satat japat divy raam naam . raam raam raam shrii raam raam raam .. maat pitaa ba.ndhu sakhaa sab hii raam naam . bhakt janan jiivan dhan ek raam naam .. \zzz{raam se ba.Daa} raam se ba.Daa raam kaa naam . a.nt me.n nikalaa ye pariNaam ye pariNaam . simariye naam ruup bin dekhe kau.Dii lage n daam . naam ke baa.Ndhe khi.nche aaye.nge aakhir ek din raam .. jis saagar ko binaa setu ke laa.Ngh sake naa raam . kuud gaye hanumaan usiiko le kar raam kaa naam .. vo dilavaale kyaa paaye.nge jin me.n nahii.n hai naam . vo patthar bhii taire.nge jin par likhaa huaa shrii raam .. \zzz{meraa raam} meraa raam sab dukhiyo.n kaa sahaaraa hai .. jo bhii usako Ter bulaataa usake paas vo dau.D ke aataa . kah de koii vo nahii.n aayaa yadi sachche dil se pukaaraa hai .. jo koii parades me.n rahataa usakii bhii vo rakshhaa karataa . har praaNii hai usako pyaaraa apanaa bas yahii naaraa hai .. \zzz{bole bole re raam} bole bole re raam chiraiyaa re . bole re raam chiraiyaa .. mere saa.Nso.n ke pi.njare me.n gha.Dii gha.Dii bole gha.Dii gha.Dii bole .. bole bole re raam chiraiyaa re . bole re raam chiraiyaa .. naa koii khi.Dakii naa koii Dorii naa koii chor kare jo chorii aisaa meraa hai raam ramaiyaa re .. bole bole re raam chiraiyaa re . bole re raam chiraiyaa .. usii kii naiyaa vahii khivaiyaa bah rahii us kii laharaiyaa chaahe laakh chale puravaiyaa re .. bole bole re raam chiraiyaa re . bole re raam chiraiyaa .. \zzz {shyaamala vadana sukhadhaama} shyaamala vadana sukhadhaama paavana naama he shrii raama . paate sadaa vishraama sumirana kara tumhaaraa naama .. karuNaaku~nja jyotirpu~nja parahita ura basata abhiraama . ruchikara baina shuchikara naina aashrita diina ke bala raama .. paahana patita taarii ahilyaa ruupapati shrii raama . sura asura jana sakala taare jagata hita aviraama .. niitipaalaka dharmarakshhaka shakti ruupa anaama . baara baara praNaama he raghuva.nsha lochana raama .. \zzz{sumira raama kaa naama} sumira raama kaa naama mana re sumira raama kaa naama .. raama naama saba kaaja sa.nvaare raama naama bhava traasa nivaare raama naama japa saba jaga taare tara jaa bhavasaagara se praaNii sumira raama kaa naama mana re sumira raama kaa naam bhakti karo shrii raamachandra kii sevaa unahii ke charaNo.n kii mana me.n unakii chhavi basaa lo japo nirantara naama magana ho japa le raama kaa naama mana re sumira raama kaa naam naama jaapa jaba hogaa nirantara prem pragaTa hogaa ghaTa antara jyoti jagegii chhavi pragaTegii darashana de.nge raama magana ho japa le raama kaa naama mana re sumira raama kaa naam \zzz{raam kare so hoy} raam jharokhe baiTh ke sab kaa mujaraa let . jaisii jaakii chaakarii vaisaa vaako det .. raam kare so hoy re manavaa raam kare so hoye .. komal man kaahe ko dukhaaye kaahe bhare tore nainaa . jaisii jaakii karanii hogii vaisaa pa.Degaa bharanaa . kaahe dhiiraj khoye re manavaa kaahe dhiiraj khoye .. patit paavan naam hai vaako rakh man me.n vishvaas . karm kiye jaa apanaa re ba.nde chho.D de phal kii aas . raah dikhaauu.N tohe re manavaa raah dikhaauu.N tohe .. \zzz{raam raam raT re} raam raam raam raam raam raam raT re .. bhav ke pha.nd karam ba.ndh pal me.n jaaye kaT re .. kuchh na sa.ng le ke aaye kuchh na sa.ng jaanaa . duur kaa safar hai sir pe bojh kyo.n ba.Dhaanaa . mat bhaTak idhar udhar tuu ik jagah simaT re .. raam raam raam raam raam raam raT re .. raam ko bisaar ke phire hai maaraa maaraa . tere haath naav raam paas hai kinaaraa . raam kii sharaNa me.n jaa charaNa se jaa lipaT re .. raam raam raam raam raam raam raT re .. \zzz{raam naam ras piije} raam naam ras piije manuvaa.N raam naam ras piijai . taj kusa.ng satsa.ng baiTh nit hari charchaa sun liijai .. kaam krodh mad lobh moh ko bahaa chitt se diijai . miiraa ke prabhu giridhar naagar taahike ra.ng me.n bhiijai .. \zzz{mere man me.n hai.n} mere man me.n hai.n raam mere tan me.n hai raam . mere naino.n kii nagariyaa me.n raam hii raam .. mere rom rom ke hai.n raam hii ramaiyaa . saa.nso ke svaamii merii naiyaa ke khivaiyaa . gun gun me.n hai raam jhun jhun me.n hai raam . mere man kii aTariyaa me.n raam hii raam .. janam janam kaa jinase hai naataa man jinake pal chhin guN gaataa . sumiran me.n hai raam darshan me.n hai raama mere man kii muraliyaa me.n raam hii raam .. jahaa.N bhii dekhuu.N tahaa.N raamajii kii maayaa sabahii ke saath shrii raamajii kii chhaayaa . tribhuvan me.n hai.n raam har kaN me.n hai raama saare jag kii Dagariyaa me.n raam hii raam .. \zzz{he rom rom me.n} he rom rom me.n basane vaale raam . jagat ke svaamii he a.ntaryaamii . mai.n tujhase kyaa maa.Nguu .. bhed teraa koii kyaa pahachaane . jo tujhasaa ho vo tujhe jaane . tere kiye ko ham kyaa deve . bhale bure kaa naam .. \zzz{raam sumir raam sumir} raam sumir raam sumir yahii tero kaaj hai .. maayaako sa.ng tyaag harijuu kii sharaN raag . jagat sukh maan mithyaa jhuuTho sab saaj hai .. 1.. sapane jo dhan pachhaan kaahe par karat maan . baaruu kii bhiit taise basudhaa ko raaj hai .. 2.. naanak jan kahat baat binasi jaihai tero daas . chhin chhin kari gayo kaal taise jaat aaj hai .. 3.. \zzz{teraa raamajii kare.nge} teraa raamajii kare.nge be.Daa paar udaasii man kaahe ko kare .. naiyaa terii raam havaale lahar lahar hari aap samhaale hari aap hii uThaaye.n teraa bhaar udaasii man kaahe ko kare .. kaabuu me.n ma.Njhadhaar usii ke haatho.n me.n patavaar usii ke terii haar bhii nahii.n hai terii haar udaasii man kaahe ko kare .. sahaj kinaaraa mil jaayegaa param sahaaraa mil jaayegaa Dorii sau.np ke to dekh ek baar udaasii man kaahe ko kare .. tuu nirdoshh tujhe kyaa Dar hai pag pag par saathii iishvar hai . sachchii bhaavanaa se kar le pukaar udaasii man kaahe ko kare .. \zzz{bhaye pragaT kRipaalaa} bhaye pragaT kR^ipaalaa diinadayaalaa kausalyaa hitakaarii . harashhit mahataarii muni man haarii adbhut ruup bichaarii .. lochan abhiraamaa tanu ghanasyaamaa nij aayudh bhuj chaarii . bhuushhan vanamaalaa nayan bisaalaa sobhaasindhu kharaarii .. kah dui kar jorii astuti torii kehi bidhi karau.n ana.ntaa . maayaa gun gyaanaatiit amaanaa ved puraan bhana.ntaa .. karunaa sukh saagar sab gun aagar jehi gaavahi.n shruti sa.ntaa . so mam hit laagii jan anuraagii bhayau prakaT shriika.ntaa .. brahmaa.nD nikaayaa nirmit maayaa rom rom prati bed kahai . mam ur so baasii yah upahaasii sunat dhiir mati thir n rahai .. upajaa jab gyaanaa prabhu musukaanaa charit bahut bidhi kiinh chahai . kahi kathaa suhaaii maatu bujhaaii jehi prakaar sut prem lahai .. maataa puni bolii so mati Dolii tajahu taat yah ruupaa . kiije sisuliilaa ati priyasiilaa yah sukh param anuupaa .. suni bachan sujaanaa rodan Thaanaa hoi baalak surabhuupaa . yah charit je gaavahi haripad paavahi te n parahi.n bhavakuupaa .. bipr dhenu sur sa.nt hit liinh manuj avataar . nij ichchhaa nirmit tanu maayaa gun go paar .. \zzz{namaami bhakt vatsalaM} namaami bhakt vatsalaM . kR^ipaalu shiil komalaM .. bhajaami te padaaMbujaM . akaaminaaM svadhaamadaM .. nikaam shyaam su.ndaraM . bhavaambunaath ma.ndaraM .. praphull ka.nj lochanaM . madaadi doshh mochanaM .. pralaMb baahu vikramaM . prabho.apramey vaibhavaM .. nishha.ng chaap saayakaM . dharaM trilok naayakaM .. dinesh va.nsh ma.nDanaM . mahesh chaap kha.nDanaM .. munii.ndr sa.nt ra.njanaM . suraari vR^ind bha.njanaM .. manoj vairi va.nditaM . ajaadi dev sevitaM .. vishuddh bodh vigrahaM . samast duushhaNaapahaM .. namaami i.ndiraa patiM . sukhaakaraM sataaM gatiM .. bhaje sashakti saanujaM . shachii pati priyaanujaM .. tvadaMghri muul ye naraaH . bhaja.nti hiin matsaraaH .. pata.nti no bhavaarNave . vitark viichi sa.nkule .. vivikt vaasinaH sadaa . bhaja.nti muktaye mudaa .. nirasy i.ndriyaadikaM . prayaa.nti te gatiM svakaM .. tamekamad.hbhutaM prabhuM . niriihamiishvaraM vibhuM .. jagad.hguruM ch shaashvataM . turiiyamev kevalaM .. bhajaami bhaav vallabhaM . kuyoginaaM sudurlabhaM .. svabhakt kalp paadapaM . samaM susevyamanvahaM .. anuup ruup bhuupatiM . nato.ahamurvijaa patiM .. prasiid me namaami te . padaabj bhakti dehi me .. paTha.nti ye stavaM idaM . naraadareN te padaM .. vraja.nti naatr sa.nshayaM . tvadiiy bhakti sa.nyutaaH .. \zzz{shyaam taamaras daam} kah muni prabhu sun binatii morii . astuti karau.n kavan bidhi torii .. mahimaa amit mori mati thorii . rabi sanmukh khadyot a.njorii .. shyaam taamaras daam shariiraM . jaTaa mukuT paridhan munichiiraM .. paaNi chaap shar kaTi tuuNiiraM . naumi nira.ntar shrii raghuviiraM .. moh vipin ghan dahan kR^ishaanuH . sa.nt saroruh kaanan bhaanuH .. nishichar kari baruuth mR^igaraajaH . traatu sadaa no bhav khag baajaH .. aruN nayan raajiiv suveshaM . siitaa nayan chakor nisheshaM . har hR^idi maanas baal maraalaM . naumi raam ur baahu vishaalaM .. sa.nsay sarp grasan uragaadaH . shaman sukarkash tark vishhaadaH .. bhav bha.njan ra.njan sur yuuthaH . traatu naath no kR^ipaa varuuthaH .. nirguN saguN vishham sam ruupaM . GYaan giraa gotiitamanuupaM .. amalamakhilamanavadyamapaaraM . naumi raam bha.njan mahi bhaaraM .. bhakt kalpapaadap aaraamaH . tarjan krodh lobh mad kaamaH .. ati naagar bhav saagar setuH . traatu sadaa dinakar kul ketuH .. atulit bhuj prataap bal dhaamaH . kali mal vipul vibha.njan naamaH .. dharm varm narmad guN graamaH . sa.ntat shaM tanotu mam raamaH .. jadapi biraj byaapak abinaasii . sab ke hR^idaya.n nir.ntar baasii .. tadapi anuj shrii sahit kharaarii . basatu manasi sam kaananachaarii .. je jaanahi.n te jaanahu.n svaamii . sagun agun ur a.ntarajaamii .. jo kosalapati raajiv nayanaa . karau so raam hR^iday mam ayanaa .. as abhimaan jAi jani bhore . mai.n sevak raghupati pati more . \zzz{jay raam ramaaramanaM} jay raam ramaaramanaM shamanaM . bhav taap bhayaakul paahi janaM .. avadhes sures rames vibho . sharanaagat maa.Ngat paahi prabho .. dasasiis vinaasan biis bhujaa . kR^it duuri mahaa mahi bhuuri rujaa .. rajaniichar bR^i.nd pata.ng rahe . sar paavak tej pracha.nD dahe .. mahi ma.nDal ma.nDan chaarutaraM . dhR^it saayak chaap nishha.ng baraM .. mad moh mahaa mamataa rajanii . tam pu.nj divaakar tej anii .. manajaat kiraat nipaat kiye . mR^ig log kubhog saren hiye .. hati naath anaathani paahi hare . vishhayaa ban paa.nvar bhuuli pare .. bahu rog biyoginhi log haye . bhavada.nghri niraadar ke phal e .. bhav si.ndhu agaadh pare nar te . pad pa.nkaj prem n je karate .. ati diin maliin duHkhii nitahii.n . jinh ke.n pad pa.nkaj priit nahii.n .. avalaMb bhava.nt kathaa jinh ke.n . priy sa.nt ana.nt sadaa tinh ke.n .. nahi.n raag n lobh n maan madaa . tinh ke.n sam baibhav vaa bipadaa .. ehi te tav sevak hot mudaa . muni tyaagat jog bharos sadaa .. kari prem nira.ntar nem liye.n . pad pa.nkaj sevat shuddh hiye.n .. sam maani niraadar aadarahii . sab sa.nt sukhii bichara.nti mahii .. muni maanas pa.nkaj bhR^i.ng bhaje . raghuviir mahaa ranadhiir aje .. tav naam japaami namaami harii . bhav rog mahaagad maan arii .. gun siil kR^ipaa paramaayatanaM . pranamaami nira.ntar shriiramanaM .. raghuna.nd nika.nday dva.ndv ghanaM . mahipaal bilokay diin janaM .. baar baar bar maagau.n harashhi dehu shriira.ng . pad saroj anapaayanii bhagati sadaa satasa.ng .. \zzz{sarva shaktimate} sarva shaktimate paramaatmane shrii raamaaya namaH .. \zzz{raam dhun} bolo raam bolo raam bolo raam raam raam . shrii raam shrii raam shrii raam raam raam . jay jay raam jay jay raam jay jay raam raam raam . jay raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam jay jay raam .. patit paavan naam bhaj le raam raam raam . bhaj le raam raam raam bhaj le raam raam raam .. asharaN sharaN shaa.nti ke dhaam mujhe bharosaa teraa raam . mujhe bharosaa teraa raam mujhe sahaaraa teraa raam .. raamaay namaH shrii raamaay namaH . raamaay namaH shrii raamaay namaH .. ahaM bhajaami raamaM satyaM shivaM ma.ngalaM . satyaM shivaM ma.ngalaM satyaM shivaM ma.ngalaM .. vR^iddhi aastik bhaav kii shubh ma.ngal sa.nchaar . abhyuday sad.hdharm kaa raam naam vistaar .. \zzz{paavan teraa naam hai} paavan teraa naam hai paavan teraa dhaam . atishay paavan ruup tuu paavan teraa kaam .. mujhe bharosaa raam kaa rahe sadaa sab kaal . diin ba.ndhu vah dev hai hitakar diinadayaal .. mujhe bharosaa raam tuu de apanaa anamol . rahuu.N mast nishchint mai.n kabhii n jaauu.n Dol .. jo deve sab jagat ko anna daan shubh praaNa . vahii daataa meraa hari sukh kaa kare vidhaan .. mujhe bharosaa param hai raam raam shrii raam . merii jiivan jyoti hai vahii meraa vishraam .. guu.Nje madhumay naam kii dhvani naabhi ke dhaam . hR^iday mastak kamal me.n raam raam shrii raam .. \zzz{apanaa kari ke raakhihai.n} apanaa kari ke raakhihai.n sharaN gahe kii laaj . sharaN gahe kii raam ne kabahu.N n chho.Dii baa.Nh .. \zzz{prem ke pu.nj dayaa ke dhaam} prem ke pu.nj dayaa ke dhaam mujhe bharosaa teraa raam . mujhe bharosaa teraa raam mujhe sahaaraa teraa raam .. \zzz{tan hai teraa man hai teraa} tan hai teraa man hai teraa praaN hai.n tere jiivan teraa . sab hai.n tere sab hai teraa mai.n huu.n teraa tuu hai meraa .. \zzz{raam apanii kRipaa se} raam apanii kR^ipaa se mujhe bhakti de . raam apanii kR^ipaa se mujhe shakti de .. naam japataa rahuu.N kaam karataa rahuu.N . tan se sevaa karuu.N man se sa.nyam karruu.N .. naam japataa rahuu.N kaam karataa rahuu.N . shrii raam jay raam jay jay raam .. \zzz{raam japo raam dekho} raam japo raam dekho raam ke bharose raho . raam kaaj karate raho raam ke bharose raho .. raam japo raam dekho raam ke bharose raho . raam kaaj karate raho raam ko rijhaate raho .. \zzz{aaraadhy shriiraam} aaraadhy shriiraam trikuTii me.n . priyatam siitaaraam hR^iday me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam rom rom me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam jan jan me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam kaN kaN me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam raam mukh me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam raam man me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam svaa.ns svaa.ns me.n .. shrii raam jay raam jay jay raam . raam raam raam raam raam raam raam .. raam raam raam raam raam raam raam . raam raam raam raam raam raam raam .. \zzz{paayaa paayaa paayaa} paayaa paayaa paayaa mai.nne raam ratan dhan paayaa . raam ratan dhan paayaa mai.nne raam ratan dhan paayaa .. \zzz{jaago ba.nsiivaare lalanaa} jaago ba.nsiivaare lalanaa jaago more pyaare .. rajanii biitii bhor bhayo hai ghar ghar khule kivaa.De . gopii dahii mathat suniyat hai ka.nganaa kii jhanakaare .. uTho laalajii bhor bhayo hai sur nar Thaa.De dvaare . gvaalabaal sab karat kolaahal jay jay shabd uchaare .. maakhan roTii haath me.n liije gauan ke rakhavaare . miiraa ke prabhu giridhar naagar sharaN aayaa ko taare .. \zzz{na.nd baabaajii ko chhaiyaa} na.nd baabaajii ko chhaiyaa vaako naam hai kanhaiyaa . kanhaiyaa kanhaiyaa re .. ba.Do ge.nd ko khilaiyaa aayo aayo re kanhaiyaa . kanhaiyaa kanhaiyaa re .. kaahe kii ge.nd hai kaahe kaa ballaa ge.nd me kaahe kaa laagaa hai chhallaa kaun gvaal ye khelan aaye khele.n taa taa thaiyaa o bhaiyaa . kanhaiyaa kanhaiyaa re .. resham kii ge.nd hai cha.ndan kaa ballaa ge.nd me.n motiyaa.n laage hai.n chhallaa sugha.D manasukhaa khelan aaye bR^ij baalan ke bhaiyaa kanhaiyaa . kanhaiyaa kanhaiyaa re .. niilii yamunaa hai niilaa gagan hai niile kanhaiyaa niilaa kadamb hai sugha.D shyaam ke sugha.D khel me.n niile khel khilaiyaa o bhaiyaa . kanhaiyaa kanhaiyaa re .. \zzz{banavaarii re} banavaarii re jiine kaa sahaaraa teraa naam re mujhe duniyaa vaalo.n se kyaa kaam re jhuuThii duniyaa jhuuThe ba.ndhan jhuuThii hai ye maayaa jhuuThaa saa.Nsa kaa aanaa jaanaa jhuuThii hai ye kaayaa o yahaa.N saa.Nchaa teraa naam re banavaarii re ... ra.nga me.n tere ra.nga gaye giridhara chho.D diyaa jaga saaraa bana gaye tere prem ke jogii le ke mana ekataaraa o mujhe pyaaraa teraa dhaam re banavaarii re ... darshana teraa jisa dina paauu.N hara chintaa miTa jaaye jiivana meraa in charaNo.n me.n aas kii jyota jagaaye o merii baa.Nhe.n paka.Da lo shyaam re banavaarii re ... \zzz{jay kRishhNa hare} jay kR^ishhNa hare shrii kR^ishhNa hare . dukhiyo.n ke dukh duur kare jay jay jay kR^ishhNa hare .. jab chaaro.n taraf a.ndhiyaaraa ho aashaa kaa duur kinaaraa ho . jab koii naa khevan haaraa ho tab tuu hii be.Daa paar kare . tuu hii be.Daa paar kare jay jay jay kR^ishhNa hare .. tuu chaahe to sab kuchh kar de vishh ko bhii amR^it kar de . puuraN kar de usakii aashaa jo bhii teraa dhyaan dhare . jo bhii teraa dhyaan dhare jay jay jay kR^ishhNa hare .. \zzz{prabal prem ke paale} prabal prem ke paale pa.D kar prabhu ko niyam badalate dekhaa . apanaa maan bhale Tal jaaye bhakta maan nahii.n Talate dekhaa .. jisakii keval kR^ipaa dR^ishhTi se sakal vishva ko palate dekhaa . usako gokul me.n maakhan par sau sau baar machalate dekhaa .. jisake charaN kamal kamalaa ke karatal se na nikalate dekhaa . usako braj kii ku.nj galin me.n ka.nTak path par chalate dekhaa .. jisakaa dhyaan vira~nchi shaMbhu sanakaadika se na sambhalate dekhaa . usako gvaal sakhaa maNDal me.n lekar ge.nd uchhalate dekhaa .. jisakii vakra bhR^ikuTi ke Dar se saagar sapt uchhalate dekhaa . usako maa.N yashodaa ke bhay se ashru bi.ndu dR^iga .Dhalate dekhaa .. \zzz{OM jay shrii raadhaa} OM jay shrii raadhaa jay shrii kR^ishhNa shrii raadhaa kR^ishhNay namaH .. ghuum ghumaaro ghaamar sohe jay shrii raadhaa paT piitaambar muni man mohe jay shrii kR^ishhNa . jugal prem ras jham jham jhamakai shrii raadhaa kR^ishhNay namaH .. raadhaa raadhaa kR^ishhNa kanhaiyaa jay shrii raadhaa bhav bhay saagar paar lagaiyaa jay shrii kR^ishhNa . ma.ngal muurati mokshh karaiyaa shrii raadhaa kR^ishhNay namaH .. \zzz{aao aao yashodaa ke laal} aao aao yashodaa ke laal . aaj mohe darashan se kar do nihaal . aao aao aao aao yashodaa ke laal .. naiyaa hamaarii bha.nvar me pha.nsii . kab se a.Dii ubaaro hari . kahate hai.n diino.n ke tum ho dayaal . kahate hai.n diino.n ke tum ho dayaal . aao aao aao aao yashodaa ke laal .. abato sunalo pukaar mere jiivan aadhaar . bhavasaagar hai ati vishaal . laakho.n ko taaraa hai tumane gopaal . laakho.n ko taaraa hai tumane gopaal . aao aao aao aao yashodaa ke laal .. yamunaa ke taT par gauve.n charaakar . chhiin liyaa meraa man muralii bajaakar . hR^iday hamaare baso nandalaal . hR^iday hamaare baso nandalaal . aao aao aao aao yashodaa ke laal .. \zzz{kanhaiyaa kanhaiyaa} kanhaiyaa kanhaiyaa tujhe aanaa pa.Degaa aanaa pa.Degaa . vachan giitaa vaalaa nibhaanaa pa.Degaa .. gokul me.n aayaa mathuraa me.n aa chhavi pyaarii pyaarii kahii.n to dikhaa . are saa.Nvare dekh aa ke zaraa suunii suunii pa.Dii hai terii dvaarikaa .. jamunaa ke paanii me.n halachal nahii.n . madhuban me.n pahalaa saa jalathal nahii.n . vahii ku.nj galiyaa.N vahii gopiaa.N . chhanakatii magar koii jhaanjhar nahii.n . \zzz{aao kRishhNa kanhaiyaa} aao kR^ishhNa kanhaiyaa hamaare ghar aao . maakhan mishrii duudh malaaii jo chaaho so khaao .. \zzz{karuNaa bharii pukaar sun} karuNaa bharii pukaar sun ab to padhaaro mohanaa .. kR^ishhNa tumhaare dvaar par aayaa huu.N mai.n ati diin huu.N . karuNaa bharii nigaah se ab to padhaaro mohanaa .. kaanan kuNDal shiish mukuT gale baija.ntii maal ho . saa.nvarii suurat mohinii ab to dikhaa do mohanaa .. paapii huu.N abhaagii huu.N daras kaa bhikhaarii huu.N . bhavasaagar se paar kar ab to ubaaro mohanaa .. \zzz{darshan do ghanshyaam} darshan do ghanashyaam naath morii a.Nkhiyaa.N pyaasii re .. ma.ndir ma.ndir muurat terii phir bhii na diikhe suurat terii . yug biite naa aaii milan kii puuranamaasii re .. darshan do ghanashyaam naath mori a.Nkhiyaa.N pyaasii re .. dvaar dayaa kaa jab tuu khole pa.ncham sur me.n guu.ngaa bole . a.ndhaa dekhe la.nga.Daa chal kar pa.Nhuche kaashii re .. darshan do ghanashyaam naath mori a.Nkhiyaa.N pyaasii re .. paanii pii kar pyaas bujhaauu.N nainan ko kaise samajaauu.N . aa.Nkh michaulii chho.Do ab to ghaT ghaT vaasii re .. darshan do ghanashyaam naath mori a.Nkhiyaa.N pyaasii re .. \zzz{tuu hii ban jaa} tuu hii ban jaa meraa maa.njhii paar lagaa de merii naiyaa . he naTanaagar kR^ishhNa kanhaiyaa paar lagaa de merii naiyaa .. is jiivan ke saagar me.n har kshhaNa lagataa hai Dar mujhako . kyaa bhalaa hai kyaa buraa hai tuu hii bataa de mujhko . he naTanaagar kR^ishhNa kanhaiyaa paar lagaa de merii naiyaa .. kyaa teraa aur kyaa meraa hai sab kuchh to bas sapanaa hai . is jiivan ke mohajaal me.n sabane sochaa apanaa hai . he naTanaagar kR^ishhNa kanhaiyaa paar lagaa de merii naiyaa .. \zzz{raam kRishhNa hari} raam kR^ishhNa hari muku.nd muraari . paa.nDura.ng paa.nDura.ng raam kR^ishhNa hari .. viTThal viTThal paa.nDura.ng raam kR^ishhNa hari . paa.nDura.ng paa.nDura.ng raam kR^ishhNa hari .. \zzz{mukund maadhav govinda} mukund maadhav govind bola keshav maadhav hari hari bol .. hari hari bol hari hari bol . kR^ishhNa kR^ishhNa bol kR^ishhNa kR^ishhNa bol .. raam raam bol raam raam bol . shiv shiv bol shiv shiv bol . \zzz{bhaj man govi.nd govi.nd} bhaj man govi.nd govi.nd gopaalaa .. \zzz{kRishhNa govi.nda gopaala} kR^ishhNa govi.nd gopaala gaate chalo . man ko vishhayo.n ke vishh se haTaate chalo .. dekho i.ndriyo.n ke na gho.De bhage raat din inako samaya ke ko.De lage . apane rath ko sumaarga pe chalaate chalo man ko vishhayo.n ke vishh se haTaate chalo .. praaNa jaaye magar naama bhuulo nahii.n dukha me.n ta.Dapo nahii.n sukh me.n phuulo nahii.n naama dhana kaa khazaanaa ba.Dhaate chalo man ko vishhayo.n ke vishh se haTaate chalo .. naama japate raho kaama karate raho paapa kii vaasanao.n se Darate raho prema bhakti ke aa.Nsuu bahaate chalo man ko vishhayo.n ke vishh se haTaate chalo .. khyaala aayegaa usako kabhii na kabhii bhakta paayegaa usako kabhii na kabhii aisaa vishvaas man me.n jagaate chalo man ko vishhayo.n ke vishh se haTaate chalo .. \zzz{jo bhaje hari ko sadaa} jo bhaje hari ko sadaa so param pad paayegaa .. deh ke maalaa tilak aur bhasm nahi.n kuchh kaam ke . prem bhakti ke binaa nahi.n naath ke man bhaayegaa .. dil ke darpaNa ko safaa kara duur kar abhimaan ko . khaak ho guru ke charaNa kii to prabhu mil jaayegaa .. chho.D duniyaa ke maze aur baiTh kar ekaa.nt me.n . dhyaan dhar hari ke charaN kaa phir janam nahii.n paayegaa .. dR^i.Dh bharosaa man me.n rakh kar jo bhaje hari naam ko . kahat brahmaana.nd brahmaana.nd me.n hii samaayegaa .. \zzz{hari tum bahuta} hari tum bahut anugrah kiinho . saadhan dhaam vividh durlabh tanu mohe kR^ipaa kar diinho .. koTinh mukh kahi jaat n prabhu ke ek ek upakaar . tadapi naath kachhu aur maa.Ngihe diijo param udaar .. \zzz{hari naam sumir} hari naam sumir hari naam sumir hari naam sumira sukh dhaam jagat me.n jiivan do din kaa . jagat me.n jiivan do din kaa .. su.ndar kaayaa dekh lubhaayaa laa.D kare tan kaa . chhuuTaa saa.Ns vigat bhayii dehii jyo.n maalaa manakaa .. paap kapaT kar maayaa jo.Dii garv kare dhan kaa . sabhii chho.D kar chalaa musaaphir vaas huaa van kaa .. brahmaanand bhajan kar ba.nde naath nira.njan kaa . jagat me.n jiivan do din kaa .. \zzz{jo ghaT a.ntara} jo ghaT a.ntar hari sumirai . taako kaal ruuThi kaa karihai je chit charan dhare .. sahas baras gaj yuddh karat bhayai chhin ek dhyaan dharai . chakr dharai vaikuNTh se dhaayai baakii pai.nj sarai .. jaha.N jaha.N dusah kashhT bhagatan par taha.N taha.N saar karai . suurajadaas shyaam sevai te dushhtar paar karai .. \zzz{hari hari hari hari sumiran} hari hari hari hari sumiran karo hari charaNaaravind ur dharo .. hari kii kathaa hoye jab jahaa.N ga.ngaa huu chali aave tahaa.n .. yamunaa si.ndhu sarasvatii aave godaavarii vilamb n laave .. sarv tiirth ko vaasaa tahaa.N suur hari kathaa hove jahaa.n .. \zzz{naaraayaN jinake hiraday} naaraayaN jinake hiraday me.n so kachhu karam kare n kare re .. paaras maNi jinake ghar maahii.n so dhan sa.nchi dhare n dhare . suuraj ko parakaash bhayo jab diipak jot jale n jale re .. naav milii jinako jal a.ndar baahu se niir tare n tare re . brahmaana.nd jaahi ghaT a.ntar kaashii me.n jaaye mare n mare re .. \zzz{bhajo re bhaiya} bhajo re bhaiyaa raam govi.nd harii . raam govi.nd harii bhajo re bhaiyaa raam govi.nd harii .. jap tap saadhan nahi.n kachhu laagat kharachat nahi.n gaTharii .. sa.ntata saMpata sukha ke kaaran jaase bhuul parii .. kahat kabiira raama nahii.n jaa mukh taa mukh dhuul bharii .. \zzz{hari OM hari OM} hari OM hari OM meraa bole rom rom . hari OM hari OM hari OM hari OM .. \zzz{namaami ambe diin vatsale} namaami ambe diin vatsale tumhe biThaauu.N hR^iday si.nhaasan . tumhe pahanaauu.N bhakti paadukaa namaami ambe bhavaani ambe .. shraddhaa ke tumhe phuul cha.Dhaauu.N shvaaso.n kii jayamaal pahanaauu.N . dayaa karo ambike bhavaanii namaami ambe baso hR^iday me.n he kalyaaNii sarv ma.ngal maa.ngaly bhavaanii . dayaa karo ambike bhavaanii namaami ambe \zzz{jay ambe jay jay durge} jay ambe jay jay durge dayaamayii kalyaaN karo .. aa jaao maa.N aa jaao aa kar daras dikhaa jaao . jay ambe kab se dvaar tihaare Thaa.De maiyaa merii mujh par kR^ipaa karo . jay ambe tere daras ke pyaase nainaa daras hame.n dikhalaa jaao . jay ambe \zzz{biit gaye din} biit gaye din bhajan binaa re . bhajan binaa re bhajan binaa re .. baal avasthaa khel gavaa.Nyo . jab yauvan tab maan ghanaa re .. laahe kaaraN muul gavaa.Nyo . ajahu.N na gayii man kii tR^ishhNaa re .. kahat kabiir suno bhaI saadho . paar utar gaye sa.nt janaa re .. \zzz{jab se lagan lagii prabhu terii} jab se lagan lagii prabhu terii sab kuchh mai.n to bhuul gayii huu.N .. bisar gayii kyaa thaa meraa bisar gayii ab kyaa hai meraa . ab to lagan lagii prabhu terii tuu hii jaane kyaa hogaa .. jab mai.n prabhu me.n kho jaatii huu.n megh prem ke ghir aate hai.n . mere man ma.ndir me prabhu ke chaaro.n dhaam samaa jaate hai.n .. baar baar tuu kahataa mujhase jag kii sevaa kar tuu man se . isii me.n mai.n huu.n sabhii me.n mai.n huu.n tuu dekhe to sab kuchh mai.n huu.n .. \zzz{bhagavaan merii naiyaa} bhagavaan merii naiyaa us paar lagaa denaa . ab tak to nibhaayaa hai aage bhii nibhaa denaa .. sambhav hai jha.njhaTo.n me.n mai.n tum ko bhuul jaauu.N . par naath kahii.n tum bhii mujhako n bhulaa denaa .. tum dev mai.n pujaarii tum iish mai.n upaasak . yah baat sach hai to phir sach kar ke dikhaa denaa .. \zzz{sharaN me.n aaye hai.n} sharaN me.n aaye hai.n ham tumhaarii dayaa karo he dayaalu bhagavan . sa.Nbhaalo biga.Dii dashaa hamaarii dayaa karo he dayaalu bhagavan .. na ham me.n saadhan na ham me.n shakti na ham me.n puujan na ham me.n bhakti . tumhaare dar ke hai.n ham bhikhaarii dayaa karo he dayaalu bhagavan .. jo tum pitaa ho to ham hai.n baalak jo tum ho svaamii to ham hai.n sevak . jo tum ho Thaakur to ham pujaarii dayaa karo he dayaalu bhagavan .. pradaan kar do mahaan shakti bharo hamaare me.n GYaan bhakti . tabhii kahAoge taap haarii dayaa karo he dayaalu bhagavan .. \zzz{re man prabhu se} re man prabhu se priit karo . prabhu kii prem bhakti shraddhaa se apanaa aap bharo .. aisii priit karo tum prabhu se prabhu tum maahi.N samaaye . bane aaratii puujaa jiivan rasanaa hari guN gaaye . raam naam aadhaar liye tum is jag me.n vicharo .. \zzz{sur kii gati mai.n} sur kii gati mai.n kyaa jaanuu.N . ek bhajan karanaa jaanuu.N .. arth bhajan kaa bhii ati gaharaa us ko bhii mai.n kyaa jaanuu.N .. prabhu prabhu prabhu kahanaa jaanuu.N nainaa jal bharanaa jaanuu.N .. guNa gaaye prabhu nyaay na chho.De phir tum kyo.n guNa gaate ho mai.n bolaa mai.n prem diivaanaa itanii baate.n kyaa jaanuu.N .. prabhu prabhu prabhu kahanaa jaanuu.N nainaa jal bharanaa jaanuu.N .. phulvaarii ke phuul phuul ke kiske guna nit gaate hai.n . jab puuchhaa kyaa kuchh paate ho bol uThe mai.n kyaa jaanuu.N .. prabhu prabhu prabhu kahanaa jaanuu.N nainaa jal bharanaa jaanuu.N .. \zzz{har saa.ns me.n har bol me.n} har saa.ns me.n har bol me.n hari naam kii jha.nkaar hai . har nar mujhe bhagavaan hai har dvaar ma.ndir dvaar hai .. ye tan ratan jaisaa nahii.n man paap kaa bhaNDaar hai . pa.nchhii basere saa lage mujhako sakal sa.nsaar hai .. har Daal me.n har paat me.n jis naam kii jha.nkaar hai . us naath ke dvaare tuu jaa hogaa vahii.n nistaar hai .. apane paraaye bandhuo.n kaa jhuuTh kaa vyavahaar hai . manake yahaa.n bikhare huye prabhu ne piroyaa taar hai .. \zzz{prabhu ko bisaar} prabhu ko bisaar kisakii aaraadhanaa karuu.n mai.n . paa kalpataru kisiise kyaa yaachanaa karuu.n mai.n .. motii milaa mujhe jab maanas ke maanasar me.n . ka.nka.D baTorane kii kyo.n chaahanaa karuu.n mai.n .. mujhako prakaash pratipal aana.nd aa.ntarik hai . jag ke kshhaNik sukho.n kii kyaa kaamanaa karuu.n mai.n .. \zzz{kisakii sharaN me.n jaauu.n} kisakii sharaN me.n jaauu.N asharaN sharaN tumhii.n ho .. gaj graah se chhu.Daayaa prah{}laad ko bachaayaa . draupadii kaa paT ba.Dhaayaa nirbal ke bal tumhii.n ho .. ati diin thaa sudaamaa aayaa tumhaare dhaamaa . dhanapati use banaayaa nirdhan ke dhan tumhii.n ho .. taaraa sadan kasaaii ajaamil kii gati banaaii . gaNikaa supur paThaaii paatak haraN tumhii.n ho .. mujhako to he bihaarii aashaa hai bas tumhaarii . kaahe surati bisaarii mere to ek tumhii.n ho .. \zzz{pitu maatu sahaayak svaamii} pitu maatu sahaayak svaamii sakhaa tumahii ek naath hamaare ho . jinake kachhu aur aadhaar nahii.n tinh ke tumahii rakhavaare ho .. sab bhaa.Nti sadaa sukhadaayak ho duHkh durguN naashanahaare ho . pratipaal karo sigare jag ko atishay karuNaa ur dhaare ho .. bhulihai ham hii tumako tum to hamarii sudhi naahi.n bisaare ho .. upakaaran ko kachhu a.nt nahii chhin hii chhin jo vistaare ho . mahaaraaja mahaa mahimaa tumharii samujhe birale budhavaare ho . shubh shaa.nti niketan prem nidhe manama.ndir ke ujiyaare ho .. yah jiivan ke tumh jiivan ho in praaNan ke tum pyaare ho . tum so.n prabhu paayi prataap hari kehi ke ab aur sahaare ho .. \zzz{tumhii ho maataa pitaa} tumhii ho maataa pitaa tumhii ho tumhii ho ba.ndhu sakhaa tumhii ho .. tumhii ho saathii tumhii sahaare koii n apanaa sivaa tumhaare . tumhii ho naiyyaa tumhii khevaiyyaa tumhii ho ba.ndhu sakhaa tumhii ho .. jo kal khile.nge vo phuul ham hai.n tumhaare charaNo.n kii dhuul ham hai.n . dayaa kii dR^ishhTi sadaa hii rakhanaa tumhii ho ba.ndhu sakhaa tumhii ho .. \zzz{tum taji aur kaun pai jaauu.n} tum taji aur kaun pai jaauu.N . kaake dvaar jaai sir naauu.N par haath kahaa.n bikaauu.N .. aiso ko daataa hai samarath jaake diye aghaauu.N . a.ntakaal tumharo sumiran gati anat kahuu.n nahi.n paauu.N .. ra.nk ayaachii kiyuu sudaamaa diyo abhay pad Thaauu.N . kaamadhenu chi.ntaamaNi diinho kalap vR^ikshh tar chhaauu.N .. bhavasamudr ati dekh bhayaanak man me.n adhik Daraauu.N . kiijai kR^ipaa sumiri apano pan suuradaas bali jaauu.N .. \zzz{ra.ngavaale der kyaa hai} ra.ngavaale der kyaa hai meraa cholaa ra.ng de . aur saare ra.ng dho kar ra.ng apanaa ra.ng de .. kitane hii ra.ngo se maine aaj tak hai ra.ngaa ise . par vo saare phiike nikale tuu hii gaa.Dhaa ra.ng de .. tuune ra.nge hai.n zamii.n aur aasamaa.n jis ra.ng se . bas usii ra.ng se tuu aakhir meraa cholaa ra.ng de .. mai.n to jaanuu.ngaa tabhii terii ye ra.ngandaaziyaa.n . jitanaa dhouu.n utanaa chamake ab to aisaa ra.ng de .. \zzz{he jagatraataa} he jagatraataa vishvavidhaataa he sukhashaa.ntiniketan he . premake si.ndho diinake ba.ndho duHkh daridr vinaashan he . nity akha.nD ana.nt anaadi puurN brahmasanaatan he . jaga aashraya jagapati jagava.ndan anupam alakh nira.njan he . praaN sakhaa tribhuvan pratipaalak jiivan ke avalaMban he . \zzz{darashan diijo aay pyaare} darashan diijo aay pyaare tum bino rahyo naa jaay .. jal binu kamal cha.ndra binu rajanii vaise tum dekhe binu sajanii . aakul vyaakul phiruu.n rain din virah kalejo khaay .. divas n bhuukh nii.nd nahii.n rainaa mukh so.n kahat n aave bainaa . kahaa kahuu.N kachhu samujhi n aave mil kar tapat bujhaay .. kyuu.N tarasaao a.ntarayaamii aay milo kirapaa karo svaamii . miiraa daasii janam janam kii pa.Dii tumhaare paay .. \zzz{naiyaa pa.Dii ma.njhadhaar} naiyaa pa.Dii ma.njhadhaar guru bin kaise laage paar .. saahib tum mat bhuuliyo laakh lo bhuulag jaaye . ham se tumare aur hai.n tum saa hamaraa naahi.n . a.ntarayaamii ek tum aatam ke aadhaar . jo tum chho.Do haath prabhujii kaun utaare paar .. guru bin kaise laage paar .. mai.n aparaadhii janm ko man me.n bharaa vikaar . tum daataa dukh bha.njan merii karo samhaar . avagun daas kabiir ke bahut gariib nivaaz . jo mai.n puut kapuut huu.n kahau.n pitaa kii laaj .. guru bin kaise laage paar .. \zzz{tuune raat ga.Nvaayii} tuune raat ga.Nvaayii soy ke divas ga.Nvaayaa khaay ke . hiiraa janam amol thaa kau.Dii badale jaay .. sumiran lagan lagaay ke mukh se kachhu naa bol re . baahar kaa paT ba.nd kar le a.ntar kaa paT khol re . maalaa pherat jug huaa gayaa naa man kaa pher re . gayaa naa man kaa pher re . haath kaa manakaa chhaa.N.Di de man kaa manakaa pher .. dukh me.n sumiran sab kare.n sukh me.n kare na koya re . jo sukh me.n sumiran kare to dukh kaahe ko hoy re . sukh me.n sumiran naa kiyaa dukh me.n karataa yaad re . dukh me.n karataa yaad re . kahe kabiir us daas kii kaun sune fariyaad .. \zzz{nainahiin ko raah dikhaa} nain hiin ko raah dikhaa prabhu . pag pag Thokar khaaU.N mai.n .. tumharii nagariyaa kii kaThin Dagariyaa . chalat chalat gir jaauu.N mai.n .. chahuu.N or mere ghor a.ndheraa . bhuul na jaauu.N dvaar teraa . ek baar prabhu haath paka.D lo . man kaa diip jalaauu.N mai.n .. \zzz{prabhu ham pe kRipaa} prabhu ham pe kR^ipaa karanaa prabhu ham pe dayaa karanaa . vaikuNTh to yahii.n hai isame.n hii rahaa karanaa .. ham mor ban ke mohan naachaa kare.nge van me.n . tum shyaam ghaTaa banakar us ban me.n u.Daa karanaa .. hokar ke ham papiihaa pii pii raTaa kare.nge . tum svaati buu.nd banakar pyaase pe dayaa karanaa .. ham raadheshyaam jag me.n tumako hii nihaare.nge . tum divy jyoti ban kar naino.n me.n basaa karanaa .. \zzz{tere dar ko chho.D ke} tere dar ko chho.D ke kis dar jaauu.N mai.n . dekh liyaa jag saaraa maine tere jaisaa miit nahii.n . tere jaisaa prabal sahaaraa tere jaisii priit nahii.n . kin shabdo.n me.n aapakii mahimaa gaauu.N mai.n .. apane path par aap chaluu.n mai.n mujhame itanaa GYaan nahii.n . huu.N mati ma.nd nayan kaa a.ndhaa bhalaa buraa pahachaan nahii.n . haath paka.D kar le chalo Thokar khaauu.N mai.n .. \zzz{uddhaar karo bhagavaan} uddhaar karo bhagavaan tumharii sharaN pa.De . bhav paar karo bhagavaan tumharii sharaN pa.De .. kaise teraa naam dhiyaaye.n kaise tumharii lagan lagaaye . hR^iday jagaa do GYaan tumharii sharaN pa.De .. pa.nth mato.n kii sun sun baate.n dvaar tere tak pahu.nch n paate . bhaTake biich jahaan tumharii sharaN pa.De .. tuu hii shyaamal kR^ishhNa muraarii raam tuu hii gaNapati tripuraarii . tumhii bane hanumaan tumharii sharaN pa.De .. aisii antar jyoti jagaanaa ham diino.n ko sharaN lagaanaa . he prabhu dayaa nidhaan tumharii sharaN pa.De .. \zzz{mailii chaadar o.Dh ke} mailii chaadar o.Dh ke kaise dvaar tumhaare aauu.N . he paavan parameshvar mere man hii man sharamaauu.N .. tuune mujhako jag me.n bhejaa nirmal dekar kaayaa . aakar ke sa.nsaar me.n mai.nne isako daag lagaayaa . janam janam kii mailii chaadar kaise daag chhu.Daauu.N .. nirmal vaaNii paakar maine naam na teraa gaayaa . nayan muu.nd kar he parameshvar kabhii na tujhako dhyaayaa . man viiNaa kii taare.n TuuTii.n ab kyaa giit sunaauu.N .. in pairo.n se chal kar tere mandir kabhii n aayaa . jahaa.n jahaa.n ho puujaa terii kabhii n shiish jhukaayaa . he hari har mai.n haar ke aayaa ab kyaa haar cha.Dhaauu.N .. \zzz{sha.nkar shiv shambhu saadhu} sha.nkar shiv shambhu saadhu sa.ntan hitakaarii .. lochan tray ati vishaal sohe nav chandr bhaal . ruND muND vyaal maal jaTaa ga.ng dhaarii .. paarvatii pati sujaan pramatharaaj vR^ishhabhayaan . sur nar muni sevyamaan trividh taap haarii ..